Paa-bos-e-yaar se matlab rakhe hazaar
Tifl-e-dil par zabaan-e-tir chalaya tez dhaar
Ab saaf pehchan paoge khule-jhuut ko
Tumne bahut badle hai khushbu-e-yaar
Guroor se banaya sher jo pani hua hai
Kho diye ek haar main manzil-e-qaraar
Lauta deta sab kuch par mere bus main kaha
Jaate-jaate ruka dekh use aankhe kiye ashk-baar
Mere girne main kis ka hath nahi
Bade jor main hai hawa gubaar
Mann bhar likhte rahe tumhe raat kaha subha kaha
Tumhare hijr-e-na-tamaam ke sath raha ek sogvar
Mira dimagh bhi majbur mira dil bhi hai majbur
Kahani mai mere kitna ban gaye gharib-ud-dayaar
Na baat rahi na koi savaal raha na koi aarzu raha
Reh gaya mere hisse sukhan ko bais-e-sad-iftikhar