Harif-e-jaan tere liye sab asaan tha
Dene wala jaan tere liye ab mehmaan tha
Tu khud ki buniyadi daur-e-taraqqi main
Tu bhul chala aur chala jo sahib-e-iman tha
Bade sor hote the hassi se ek chote ghar mai
Ye makan woh makan aur makan ab sab sunsaan tha
Dar-o-divar sab jante hai puchna nahi kuch
Kuch waqt ke liye rehne wala woh bhi insaan tha
Sabab kyu kya bhala milega jo mann marzi se gaye
Khvaab-e-bad ban gaya hai jo daaman-e-armaan tha
Jana mai ke tumhe kimati chizo se lagao nahi
Toda bhi to dil mera diya hua aur bhi to saman tha
Harif-e-jaan tere liye sab asaan tha
Dene wala jaan tere liye ab mehmaan tha