Kuch gin chun kar nafs se jod rakhe hai,
Khyaal se qurbat kare dil ko tod rakhe hai,
Kaha le jana hai jaan-e-ghazal ye yaad hi to hai,
Beintehaa umeed ye fanaa hone ke jazbaat hi to hai,
Bade ache hai ye khud-ba-khud aate hai,
Shikayat kis baat ki karu ye bure khayal le jate hai,
Ye haakim hai karte qaid-o-rihaaii sare sapno ki,
Shab-o-roz ird gird ye sath ghumate mere apno ki,
Aarzu kitni kari gayi andekha kiya gaya,
Jo haq se tumne manga sara diya gaya,
Tumhe hum khub jante hai hum koi ghair nahi,
Tumse nafrat hoti to karte yuu khair nahi,
Khubsurat tum aur tumhari yaadein haqiqat to yahi rahi,
Shakal se padhana muskil hai dekho aankho se jo kahi gayi,
Harkat saari tumhari humne likhe hai,
Khaat jo ab bhi wahi kahi rakhe dikhe hai,
Kuch gin chun kar nafs se jod rakhe hai,
Khyaal se qurbat kare dil ko tod rakhe hai,