Markaz-e-asraar rakh rakh thak gaye par woh daur-e-alam bhulaya na ja raha
Rang badal diye gaye to kya hua woh lage aag bujhaya na ja raha
Ae-moshin khali maan rakh du to bhi gham bhar jata hai
Bahut rok liye aansu par ab aankh dukhaya na ja raha
Hath se chehre saaf kare kitne be-hisii-o-bebasi ke
Ashk ke bhaar se rooh-o-tah uthaya na ja raha
Main apne pas khud ko rakh chun raha ke koi to mera haal nikale
Ae al-malik ab khud ko hisso mai aazmaya na ja raha
Mere kashti-e-jan jo maajhii chala raha woh ab kaha raha
Gale lage aur hasate jarur par naya rishta banaya na ja raha
Naqd-e-ehsaas jo insaan karte to kya baat hoti ehsaas ki
Tere hisaab pe behisab dil roya ab chupaya na ja raha
Ye ghar khali makaan sa reh gaya ke tasveer puri nahi karti kami
Khud ko bhula du ek yaad mai par jaam pilaya na ja raha
Aas kya ab to umid-e-na-ummidi bhi na karu tumse
Haal ye hai ke dil ko jhootha dilasa bhi dilaya na ja raha
Markaz-e-asraar rakh rakh thak gaye par woh daur-e-alam bhulaya na ja raha
Rang badal diye gaye to kya hua woh lage aag bujhaya na ja raha