Phuul par jo hai titliyan woh muskan chupaye kaha jayenge
Basti basti se jo mil liya woh insaan chupaye kaha jayenge
Zar zamiin saltanat se hota nahi jaha log bhuke so jaye
Jo bhuke ko roti de hatheliyan woh sultan chupaye kaha jayenge
Ek ghar mai taaliim ho to sata hua diwaar se ghar bhi ban jata hai aalim
Jab diwaar sab bole to takhtiyan woh rauzaan chupaye kaha jayenge
Khilkhilata hai jo aaj ke dur mai mar raha sab se jada hai
Himmat dene wala hare tab siskiyan woh pehchaan chupaye kaha jayenge
Tulu-e-sham ke sath jo bethe siyahi liye kagazon pe kya nahi aaye
Bin bulaye yaad se andhiyan woh mehman chupaye kaha jayenge
Le aaye the ghar woh khabar be-khudon ki kuch ghar gaye kuch mar gaye
Lehron se tutte kashti ko mili sipiyaan woh nuqsaan chupaye kaha jayenge
Phuul par jo hai titliyan woh muskan chupaye kaha jayenge
Basti basti se jo mil liya woh insaan chupaye kaha jayenge