Sab Bhulne ko khub piye jaam par ab mann nahi
Arsa hua dekhe phir dekhe ye sham par ab mann nahi
Hum to chale the kharidne tumhare zakham
Be-hisaab diye sare daam par ab mann nahi
Uljhe zulfe saware tumhare kaee bar
Kandhe sar rakh karte aram par ab mann nahi
Aankhon se bahut padhe aur zaahir bhi kiye
Dil ke aur karib ke dete paigam par ab mann nahi
Haathon mai hath tham chale haste tumhare
Muskurate chehre dekhte aavaam par ab mann nahi
kaee anakahi afsana khayalon ke sath chalte hai
Khali kagazon pe chalate kalaam par ab mann nahi
Sasso ki tarah basi rahi tum mere zism mai
Tumhe sab se uche dete makaam par ab mann nahi
Tutte dil aur raste khub banaye dono hatho se
Savaarte bikharte anjaam par ab mann nahi
Sab Bhulne ko khub piye jaam par ab mann nahi
Arsa hua dekhe phir dekhe ye sham par ab mann nahi