Us kinare se is kinare tak aana to hayaat lete aana
Tumhari khamoshi na lana humdum aana to baat lete aana
Khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
Mere gam-e-dil ke liye tum aana to najaat lete aana
Hum to sham se tere intezaar mai bethe reh jate hai
Meri nind dekhi hai kya tumne sunno aana to raat lete aana
Fursat se milne chalo to waqt se milna ho jata hai
Hum na kahe to khud keh dena aana to khayalaat lete aana
Nazare dhundte hai manzil ko ke kahi to khatam ho ye sitam
Tumhe main chupa kar rakhu aana to saugaat lete aana
Yaad be-intehaa aati hai bus aansu ab nahi aati
Ab roye to aise ke dhul jaye sare gile aana to barsaat lete aana
Ae mohsin khali ghar ko jawaab nahi dena mujhe ab
Ye zulm se dur ho jau main is bar aana to haalat lete aana
Us kinare se is kinare tak aana to hayaat lete aana
Tumhari khamoshi na lana humdum aana to baat lete aana