Mat pucho ke shahar ke woh rang-e-bahar kaisa hai
Main nikal nahi pata aasani se ke woh gul-e-zar kaisa hai
Minar-o-diwar se bhi bani hai kahani khubsurat kaee
Khub ruk ruk kar dekhte ke woh shahr-e-dayar kaisa hai
Har kinare se puchte chalte hum sath kahi jane ko
Soch mai hai maan ke yaar woh shokin-e-guftar kaisa hai
Kuch phool bhag se liye kuch bhag ko dukandar se liye
Sham hote hi mol-tol se bharta hua woh garmi-e-bazar kaisa hai
Kisse sare din ke pure chup chap sunte tumhare
Nadi kinaare lage muskurate woh ashjar kaisa hai
Dhalti hui sham ko dekh khamoshi banana
Nazare ek tak se dekhe tumhe woh lahja-e-izhaar kaisa hai
Dekh tumhe gungunane lagte hai bethe parinde
Jagmagate hue raat ke juganoo mai tum aur woh lab-e-didaar kaisa hai
Phir ek bar jana hai ke wapas phir to aana hai
Rok te tum aur ye shahar aur woh halqa-e-agyaar kaisa hai
Mat pucho ke shahar ke woh rang-e-bahar kaisa hai
Main nikal nahi pata aasani se ke woh gul-e-zar kaisa hai