Main tumhari mulakat ke liye tag-o-dau {effort} lagaa raha
Tum sunn rahi ho main tumhe kya kya bataa raha
Rabt-e-ishq {interest of love} raha mujhe tumhari hassi se
Be-wajah kaha nahi kuch bus vafaa raha
Tausan-e-husn {uncontrolled beauty} tumhari ek ajib azaad qudrat hai
Jo dekhe tumhe woh makaan-e-dil {house of heart} banaa raha
Nind aisi thi ke aane se phele aati thi
Ke ab main raat se apni baat sunaa raha
Bayaan-e-shauq {narrative of love} bana shauq {ardour} se ku-ba-ku {every nook and corner} ke
Bahut karib se main suluuk-e-dahr {behaviour} dikhaa raha
Rishta-e-har-shama {relationship of every lamp} bhi tumhari baato se tha
Khud main meri baato se khafaa khafaa raha
Attractive Ghazal By Moshin Ansari.
Read More Poetry and Stroy written by Moshin Ansari Click Link.