Puchlo humse

Puchlo humse ki itna khus kyu hu
bata dungi uski hothon ki muskurahat me beparwah nadaniyaan jo hai
Puchlo humse ki mera ghar kahan hai
bata dungi uski dilo me itni khubsurat maqaam jo hai
Puchlo humse ki itna humsafar kyu hun
bata dungi uski seher me kurbani jo nhi kurbani me afsosh jo nhi
Puchlo humse kahan chal pare
bata dungi uski khwabon me farda, farda me hakiqat jo hai
Puchlo humse ki ankhon me noor aur shamo me mastiyan kyu hai
bata dungi uski palat ke dekhna itni khawabeeda jo hai
Puchlo humse ki mohabbat kya hai
bata dungi uski maazarat ke aage mera man jana aur mere roothne me uski nafraat jo hai.


Romantic Hindi Poetry By Humaira Tabassum

Leave a Reply