Haste hue ko kya zamane ki khabar
Phool aur gali jane woh divane ki khabar
Kaun puche woh kaha kone mai rehta ek khayal
Nazare timtimaye jab de woh dil lubhane ki khabar
Bethe ek kinare ghar saware ek tak nihare
Dhalti suraj bataye raat aane ki khabar
Muskuraye sharmaye dekh kar kuch chupaye
Tab bhul bataye tere sare bahane ki khabar
Har baat main koi ek baat har baar aaye
Zazbaat baate koi bahut purane ki khabar
Muddat se dil kuchh aise fasane se uth gaye
Sawalon pe sawal kiye to jane apne-begane ki khabar
Woh haste hue ko kya zamane ki khabar
Phool aur gali jane woh divane ki khabar