Zamana badal gaya hai khuda nahi
Dil ka marham badal gaya hai dua nahi
Jahaan-e-husn mai kese kese husn ke rang dhale
Jism ka dastoor badal gaya par tujh sa koi dusra nahi
Hum hamdard ban gaye par koi hamsafar sa hamsafar nahi
Bad-nasib hum ke vo itni badi basti mai koi baa-vafa nahi
Khub koshish-e-tamaam kare par reh gaye na-tamaam
Sham-e-hayat jal jal ke bhi koi raushnii diya nahi
Mehfil ke shor mai teri-meri kaaii kahani kho gayi
Aise khatam hue khud mai hum ke khud hi ko suna nahi
Ek uljhan mai kaaii uljhan banaya ke phans jaye kahi dur
Ye kesa faasla kar rakha hai ke koi faasla nahi
Zamana badal gaya hai khuda nahi
Dil ka marham badal gaya hai dua nahi