Two Line Hindi Quotes by Aamina Khan
Socha chalo aaj bhul hi jaate hai tumhe,
Socha chalo aaj bhul hi jaate hai tumhe,
Par mujhe woh lamhe kabhi mile hi nahi,
Jinme tumhari yaadon ko kharch kar sakun…
Kabhi kabhi log khudko mashroof isliye rakhte hai,
Kyunki bohot si aisi chijen unse chah kar bhi bhulayi nahi jaati
Kuch khatti meethi baatein mai lekar aaya hoon,
Suniye, aapke dil me mai apni jagah banane aaya hoon
Kabhi zindagi hara deti hai,
Toh kabhi dil ke kuch rishte
Socha chalo aaj bhul hi jaate hai tumhe,
Par woh lamhe mujhe kabhi mile hi nahi jinme tumhari yaadon ko kharch kar saku
Hoti hai kuch chijen,
Jo jehen me bas jaati hai,
Panne bhar dene par bhi,
Zindagi adhuri reh jaati hai…
Log gulaab ke piche lage the,
Mai mere chaand ko nihaarta gaya,
Aankhon se huhi mulaqaaton me,
Dil me uski tasveer basata gaya
Dheeme dheeme sehme se dil the,
Jo bikhre panno par toh alfaaz ban gaye
Jo lifafe me kaid thi kayi baatein hamari,
Gulaab ki panktiyon me hawaaon ke saath woh udd si gayi kahi
Masla na toh zindagi ka tha na yaadon ka tha,
Woh ghaav tha dil par bus ek lagaav ka tha
Ruthe khwaabon ko mai mana nahi paaya,
Ruthi zindagi ko mai sambhal nahi paaya,
Kuch apno kuch gairon ke beech reh kar,
Mai apne jazbaat bacha na paaya
Na zindagi apni lagti hai aur na hi log,
Na jaane kyun kuch bhi apna sa nahi
Maine khwaabon ko palkon ke niche se uda diye,
Maine khwaabon ko palkon ke niche se uda diye,
Ab ye aankhein kabhi khulti nahi,
Maine Dil me basi jaan ko nikaal diya
Badi ajeeb si khwaahish hai meri,
Mai milkar bhi kisi se milna nahi chahata
Kabhi kabhi Dil bus khamosh ho jaata hai,
Aur yaadein shor karti hai
Na jaane kyun woh mujhe aaj bhi yaad karti hai,
Dikhawe ka mann bhar gaya hai shayad,
Isliye aaj bhi logon se meri fariyaad karti hai
Thoda dheet sa hoon,
Thoda ajeeb sa hoon,
Mai iss rangin duniya me,
Thoda beraang sa hoon
Photo by John Rae Cayabyab:
Gair bana ghum raha hoon,
Jaise khudko kabhi janta ho nahi,
Na jaane kitne arse hogaye hai,
Khudko pehchaane huve
Jo neend ke jhoke mujhe apni ore kichte rahe,
Masla bus aankhon ka raha jinhe neendon se har waqt shikayat rahi
Jo khamoshi me aankhein munn lun apni,
Tab toh kafan bhi apni na chala paye
Zo shor mach raha tha Dil me,
Zubaan ne panno par chhik diye
Fir kuch yun hua ki,
Ek din woh shakhs marr gaya,
Jo har din jeene ki khwaahish rakhta tha
Mai apneaap ko dhundh raha hoon,
Mil jaoun toh sukoon aur na mil paoun toh bebas
Pehle log sirf Dil dukhate the,
Aur ab Dil ko thaka dete hai
Jab log mujhse puchte hai,
Ki itna akele kaise reh lete ho,
Mai bus haskar keh deta hoon ki aadat hai,
Tab woh puchte ki aadat kaise toh mai keh deta hoon ki,
Jab logon ne mera saath chhodna shuru kiya,
Tab maine khudka haath thaam-na shuru kiya
Mai usdin bhi hasa tha,
Jis din Dil bohot dukha tha mera,
Mai aaj bhi has deta hoon,
Jab koi haal puchta hai mera
Kehte hai khwaahishen insaan ko zinda rakhti hai,
Aur kabhi kabhi kuch khwaahishen insaan ko jeete jee mar deti hai
Mukammal saara jahaan hua,
Ek mai bhi adhura chhut gaya,
Jash-ne-e zindagi me sab khush huve,
Fir ek mai hi udaas reh gaya
Khwaahishen meri tuti zarur thi,
Manzilen meri bhi ruthi zarur thi,
Paane aur khone ki chahat me,
Dillagi meri bhi bohot thi
Kuch apne ruth gaye,
Kuch rishte tut gaye,
Mai jaha jaha ruka,
Sab reth ki tarah fisal gaye
Na jaane kyun lagta hai,
Ki jaane ki ghaadi paas aa rahi,
Na jaane kyun lagta hai,
Ki saari shikayetein khatam ho rahi
Two Line Hindi Quotes by Aamina Khan