Be-hisaab sa hai ye dard

Kuch banjaate kuch bante
tumse dil se dil ki baat aur karte
Tum chahte to hum bataate
ke ab ye sham shor karte

Muskurana aur bhul jana
sath rehte to ye kaha kehte
Awaaz ke dar se dar jane se
woh jaan ko koi baat kya kehte

Humse fursat mili kaha ye dard ko
jo jahan-e-dil se mulakat karte
Ye humare sath chale the chale hai
aur hum khushi se khairaat karte

Nishaniya teri upari thi woh mit gayi
dil ke nishan kaha jayenge
Tumhare hath mere aasau tak aate reh gaye
humse hamare aasu bhi ab kaha pooche jayenge

Faisla ek ne kese kar liya
ke dil do tut gaye
Hum deewane kya bane
ke hum loot gaye

Woh haseen raate
ab kaali parchayi ban sath chalti hai
Phool tere jism se utaar liya maine
par ab teri kami bahut khalti hai

Kahi dur thikane lagaye the
Purane dard kahi dafnaye the

Ab jab hum laash hue
To ja us dard ke pas hue

Moshin Ansari

Mohsin Ansari is a talented writer from surat, gujarat. He has a deep love for literature and enjoys both writing and reading. Mohsin dedicates himself to becoming a great writer and is particularly skilled at crafting mesmerizing poems and captivating stories. He has co-authored a wealth of books, including "Ishq - Happen Again", "Love Amid Distance", "Let's Bring Back Memories", "Chalk n' Duster, and The Colourful Ink", among others. His writing style is characterized by utopian ideals, raw emotion, and profound insight. Whether you're reading his Ghazal, Sher, Nazm, Poetry, or Story, one thing is certain - they will take you on an unforgettable emotional journey.

Leave a Reply