Koi zariiya rakha hai kya dil-e-na-tavan ko thahar ne ko
Bhul hui kya tumse ke itna mushkil rasta diya mar ne ko
Fursat nahi thi to ye mere khayalon ki duniyan kese bani
Itne achhe the tum ke mohlat-e-hastii diye bikhar ne ko
Kya fayade ka sauda kiya mere rah-e-khayal ka
Nasib-e-vafa mai diye kuch naghme zindagi guzar ne ko
Gham-e-jahan kya hai usse kya pata woh dil nikaal ke chala
Khush-mizaj the ke qulzum-e-khoon mila khud ko savar ne ko
Galtiyan kon ginta ginti kaha aati rah-e-mohabbat mai
Nashe mai hum ke nigah-e-yar lagta hai utar ne ko
Khamoshi ki chikh raat mai gunjati hai
Maut ke hath mai hai ye zakhm bhar ne ko
Koi zariiya rakha hai kya dil-e-na-tavan ko thahar ne ko
Bhul hui kya tumse ke itna mushkil rasta diya mar ne ko