Kya Khata

Mujhe yuhi kardiya apnehi dhadkan se dafa
Na jane kyun saansein bhi hai mujhse khafa

Kya pata kab hua apne he khawabo se dur
Kaise jiyun jab kafan me he hai jeene ka noor

Mein yuhi hun apne pankhon se juda
Na jane kyun chiriya k sunte nhi mere khuda

Mein yehi reh gaya apne safar me tham ke
Jahan manzil he nhi sukoon ke sham pe

Kyun ye khamoshi mujhse pucche ki khoya kahan hun
Na jne kyun ye dil keh nhi pata akhri roya kab hun

Mujhe yuhi kar diya apne kadam se beghar
Na jane kyun rahe bhi dhoonde sikayat ka daar

Meri rooh ko bhi hai mujhsehi sakh
Na jane kyun ye jism chun liya jeene ka haq

Jahan khud sehi duriya hai aye hausla
Na jane kyun apnone li mere sath hone ka fasla

Dastan k hukum me koi harf nhi ye saza
Khat bhi bikhar rhi hai isme taqdeer ki kya khata


Beautiful Ghazal By Humaira Tabassum

Leave a Reply