Main khud mai hi jese nazar band
Lage sare koshi se daam kaam,
Tu tamasha bana ya rasta bana
Asli reh koi nakli talaash na bana,
Tu dekhi inme puri teri ye koi numaish nahi
Tu mujhse alag dikhe ye meri khawaish nahi,
Har waqt tu rahe meri soch me
phir bhi tu waqt mai nahi meri khoj me,
Likhu sab jab tab dikhe mere afsane
Jo chupe hai woh jada dikhe jese khule khajane,
Ha hoti kaali raat khayalon ke sath
Ha tab sari ek ek kar khole woh baat,
Aata hai rulana par mujhe tujhe rulana nahi
Ha tu jhut hai par mujhe tujhe bhulana nahi,
Khamosh reh harf bina bole teri boli bole
Bade bewakoof ho mere zazbaat tumne tole,
Giraftar ye sare teri harkat meri aankhon se
Fizul hai ye bahane tu jane likhu mai kitaabo pe,
Khamakha ye silsila tu chala raha ae khuda
Mai jisse dekhu sab mai ek shakhs roye ja raha,
Be-dard ye dard ab jo kar sake tu kar
Beshak ye hona nahi ke tu maut se phele mar,