Tumhare khwabo se mulakat

Tumhare khwabo se mulakat hoti hai ab
Mujhse har baat mai tumhari baat hoti hai ab,

Tumhe Dil-e-haal khub bataya maine
Tumhe khub samjha aur samjhaya maine,

Tumse mulakaat ke mansuube banata hu mai
Ab tumhe mera sab ke samne batata hu mai,

Har chehre pe sirf tumhara chehra aata hai
Ye baarish tumhare khule khayal sath lata hai,

Kitne kare mere sawaalon pe sawal tumne
Ha mere hi jawab ko bataya tumhare jawab tumne,

Meri zazbaat ko gusse mai tumne nazar-andaaz kiya
Phir khud ba-khud tumne aagaaz-e-guftaguu kar liya,

Kahaniyan akele puri nahi ho jati hai
Ab tumhare hisse mere qisse mai aati hai,

Ab khilti hai subha meri sham ho aati ho tum
Khubsurat raat mai meri aram ho jati ho tum,

Tumhare khwabo se mulakat hoti hai ab
Mujhse har baat mai tumhari baat hoti hai ab,

Moshin Ansari

Mohsin Ansari is a talented writer from surat, gujarat. He has a deep love for literature and enjoys both writing and reading. Mohsin dedicates himself to becoming a great writer and is particularly skilled at crafting mesmerizing poems and captivating stories. He has co-authored a wealth of books, including "Ishq - Happen Again", "Love Amid Distance", "Let's Bring Back Memories", "Chalk n' Duster, and The Colourful Ink", among others. His writing style is characterized by utopian ideals, raw emotion, and profound insight. Whether you're reading his Ghazal, Sher, Nazm, Poetry, or Story, one thing is certain - they will take you on an unforgettable emotional journey.

Leave a Reply