Apna ek tukda maine sab mein dekha
Alag sa hissa alag sa kissa
Pehle hoti thi
Do baaton pe chaar baatein
Ab toh bas khamoshiyan
Siskiyan bharti hain.
Jeb bhar le aaye
Yaadon ka sahara
Ghum gayi hain
Kuch hisse mere
Apna kuch tukda
Behisaab paya
Pehle ek pal mein
Saw bar sa jeete the
Ab saw pal ko ek baar hi
Jena Gawara raha
Bachpan thha woh
Ab pata chala.
Zarooratein aur chahaton
Mein farq na samajhna
Badnam toh hain sab yaha
Badnam sirf yeh reet kaha.
Hindi Poetry by Fahima Nahid.