Kuch din se main kuch jada sochu

Kuch din se main kuch jada sochu
tere baare mai
tu meri hi rahe

Kuch din se jada tujhme main rahu
ha din puche mujhe ye aasama
ye sara shama

Tu dikhe mujhe sari jagah
ek hai ye jaha aur tu meri jaan
kuch din se mai soya nahi
mai jagu teri khwabon mai
tere khayalo mai
baate hoti teri meri

Teri khushboo jesi koi khushboo nahi
ye puche phool mujhse
ke kya usme jo mujhme nahi

Sitare bole tum likhte mujhe ab kahi nahi
timtimaye jaye sare juganoo
phir bhi teri aankhon ki boli na ye bol paaye

Ye khilti titliya rang birangiya
jese sare rang tujhse lete aate jhilamilaate

Ye halki chalti hawa mujhe chuti teri aada
tu sab mai jese aise basi
ke sab puche mujhe
kon hai ye
jo kuch dino se badle tujhe
ha kuch din se main kuch jada sochu

Moshin Ansari

Mohsin Ansari is a talented writer from surat, gujarat. He has a deep love for literature and enjoys both writing and reading. Mohsin dedicates himself to becoming a great writer and is particularly skilled at crafting mesmerizing poems and captivating stories. He has co-authored a wealth of books, including "Ishq - Happen Again", "Love Amid Distance", "Let's Bring Back Memories", "Chalk n' Duster, and The Colourful Ink", among others. His writing style is characterized by utopian ideals, raw emotion, and profound insight. Whether you're reading his Ghazal, Sher, Nazm, Poetry, or Story, one thing is certain - they will take you on an unforgettable emotional journey.

Leave a Reply